Youtube Marketing Kya Hai Full Detail in Urdu and Hindi

Aaj ka topic hai Youtube Marketing kya hai. Aaj hum aap ko full detail mein banane jarhe hain. Aur yeh bhi batayege ke Youtube Marketing kaise kare. Chalo topic ko start kartay hain.

Youtube Marketing Kya Hai

Aaj ke iss internet ke daur mein marketing ko kafi value hasil hai. Marketing ke to bohat se tarike hotay hai. Lekin Internet pe jo marketing hoti hai. Usse Digital Marketing kahtay hain.

Digital Marketing Kya hai ?

Digital Marketing wo hoti hai jisse online kiya jaye. Isse karne ke liye aap ke paas Digital Devices hona lazmi hai. Jese ke Computer, Laptop, Mobile ya Tablet. Isse internet ki duniya mein web marketing, internet marketing ya online marketing bhi kaha jata hai. Digital Marketing mein Product ko website ya social page mein promote kya jata hai. Aur Usse kahtay hain Digital Marketing.

Digital marketing mein bohat se Components hain. Hum subse popular kuch Components par baat kartay hain. Hum jin ko read kar rahe hain wo hai. Email Marketing, Affiliate Marketing, Search Engine Marketing, Content Marketing aur Social Marketing.

Affiliate Marketing kya hai ?

Affiliate Marketing se kisi product ko promote kar ke paise kamaye jate hain. Internet pe bohat se eCommerce websites mojood hain jo Affiliate program provide karti hain. Jinhe aap join kar ke product ka link generate kartay hain. Jab wo product aap ke link se sell hota hai to usse aap ko commission milti hai.

Email Marketing kya hai ?

Email Marketing se aap apne bussiness ko promote kar saktay hain. Jaise ke aapki website hai uss ki traffic increase kar saktay hain. Aap apni website pe subscribe wala button add kar sktay hain. Jisse koi bhi visitor jab subscribe kare ga. To usse email ke zariye aap ki website ki update jaigi. Jisse aap ki website ki traffic increase hogi. Iss amal ko Email Marketing kaha jata hai.

Search Engine Marketing kya hai ?

SEM yani Search Engine Marketing se aap apni website ki traffic increase kar saktay hain. Jaise SEO se traffic li jati hai. Lekin is mein farak yeh hai. Ke Search Engine Marketing paid method hai. SEM se aap apni website ke liye advertising khareed saktay hain. Uss ke liye advertising provider website ka istemal hota hai. Jaise Google Ads, Media.net etc. Lekin Sab se trusted and Useful mane jane wali company Google Ads hai.

Content Marketing kya hai ?

Content Marketing mein aap ko apne product ko promote karne ke liye content create karna hota ha. Jisse buyer attract hota hai. Yeh content text, image, audio ya phir video mein hota hai. inn content ka ad create kar ke usse promote karna e Content Marketing kahlata hai.

Social Media Marketing kya hai ?

SMM yani Social Media Marketing se aap apne brand, product ya phir website ko social media pe promote kar saktay hai. Iss waqt internet par bohat se social media websites mojood hain. Jo advertising provide karti hai. Jaise Facebook, Twitter, Instagram, linkedin Youtube etc. Ab tak sab se ziyada youtube par maketing hoti hai. To chalo youtube marketing kya hai jan’ne ki khoshish kartay hai.

Youtube Marketing Kya Hai ?

Youtube ek videos ki website hai. Isse video search engine bhi kaha jata hai. Yahan par daily lankhon se video upload aur share hotay hain. Yeh ab tak duniya ki sab se barhi video ki website hai. Yahan par marketing bhi hoti hai. Lekin yahan ap sirf video ke zariye e marketing kar saktay hain. Youtube par agar maketing karni he to Aap ko video bana hoga. Uss video mein aap apne brand, product ya phir website ko promote kar satay ho.

Youtube Marketing Kaise Kare ?

Jaise aap ko pata hoga ke Google ke baad Youtube duniya ka doosra sab se barha search engine hai. Yahan har roz lakhon ki tadaad mein log marketing kartay hai. Youtube par marketing karna bohat asaan hai. Iss ke 2 tarke hain. Ek Free Youtube Marketing aur doosra Paid Youtube Marketing. To inn ke bare mein thora detail mein jann’ne ki koshish kartay hain.

Free Youtube Marketing

Free Youtube Marketing par aap free mein marketing kar saktay hain. Iss ke liye aap ko youtube channel bana prehga. Channel bhi free mein banta hai. Aur uss pe apna video upload karna hai. Lekin sab se mushkil baat yeh hai. Aap ke channel par subscribe ziyada hone chahye. Agar subscriber ziyada nhi honge. To aap ko channel famous nhi hoga. Aur agar famous nhi hoga to aap ki video grow nhi karegi. To isse kahtay hain Free Youtube Marketing.

Paid Youtube Marketing

Paid Youtube Marketing wo hoti hai jaha par aap ko paise kharch karne hotay hain. Iss Marketing ke 2 tarike hotay hain. Ek By Running Ads aur doosra Paid Promotion.

By Running Ads kya hai ?

Iss mein aap ko Google Ads par paise de ke video ads chalane hotay hain. Jiss mein aap apne video ko promote kar rahe hotay hain. Jaise e aap video ka ads Google Ads mein start karonge. To Google Ads usse Youtube par dikhaiga.

Paid Promotion kya hai ?

Iss mein aap aap apne youtube channel par jo video upload kiya hoga. Usse promote karoge. Isse aap ko youtube ko paise dene honge. Aap apne channel mein se ussi video ko promote karna hota hai. Jiss mein aap ne apne product, brand ya website ka zikr kiya hota hai. Jisse log wo video dekh ke aap ki brand, product ya website par aeng.

Conclusion:

Dosto hume umeed hai hamara yeh article aap ke liye helpful sabit houa hoga. Agar aap ko koi sawal ho ya koi suggestion to hume comment box mein zaroor batain. Aap agar koi article humare blog par publish karna chahtay hen to Guest Post visit karen.

Leave a Comment