Freelancing Se Paise Kaise Kamaye Basic Information Step by Step

Iss article mein hum aap ko aisi jankari denge jiss se online paisa kamana hoga bohat asaan, gee haan freelancing se paise kaise kamaye jate hain aaj iss sawal se hum parda hata denge. Hum aap ko bataenge ke freelancing kya hai aur hazaaron nhi balke lankho log kaise freelancing se daily basic pe paise kama rahe hain. To chaliye hum apne course ka agaaz karte hain.

Freelancing Se Paise Kaise Kamaye Basic Information

Freelancing Kya Hai

Freelancing ek online Job hai bas iss mein farq yeh hai ke koi shaks company ke bajai apne liye kam karta hai. Asaan lafzon mein kaha jai to freelancing mein aap ek time mein kai different companies, organisations, peoples ke saath different assignment ya koi kam lete hain aur unhe fix time pe deliver karte hain. Is process ko Freelancing kehte hain aur iss tarah ke kam karne wale ko Freelancer keha jata hai.

Freelancing Se Paise Kaise Kamaye

First step yeh hai ke ap kisi bhi freelancing site pe apna ek account create karenge. Aur apni real profile banaenge. Profile mein apni photo, address, skills etc add karenge. Uss ke baad aap client se kam mango ge ya phir client khud dhoond ke aap ko kam ki offier karega. Jaise ek bande ko apni wordpress ki site banwani hai to wo aap se contact karega ke aap yeh kam kroge agar karoge to kitne paise loge aur kitne time mein kar ke donge. Aur jab aap client ka kam complete kar ke deliver kroge to client aap ko uss freelancing site ke throw payment karega jiss pe aap apni service provide kar rahe honge. To jo bhi freelancing site pe service provide karta hai. Usse freelancer kehte hai.

Freelancer Kaise Bane

Jo freelancing karta hai usse freelancer kehte hain. Aur freelancer ban’ne ke lye education ya degree matter nhi karti. Iss ke liye skills ka hona bohat zaroori hai. Agar zyada skills nhi to koi bhi ek skills to lazmi honi chahye. Freelancing ke liye kuch khaas skills yeh hain. Writing & Translate, Photography, Design, Seo, Digital marketing, Programming, Data entry, Copy paste, Mobile Application, Article writing etc. Agar aap freelancer ban’na chahte hain to koi skills seekhne parhegi.

Freelancing Without Skills

Agar aap ke paas koi skills nhi hai to fikar karne ki zarrorat nhi hai. Aap ke pass koi Facebookb page, Twitter ya Youtube channel hai to aap client ke product ko promote kar ke bhi paise kama sakte hain. Ya aap koi bhi skills seekhna chahte hain to hume comment mein skill ka name batain hum aap ko free mein skills sikhaenge.

Popular Freelancing Websites in India/Pakistan

Iss wakt duniya mein kaafi freelancing websites chal rahi hain. Aaj hum aap ko bataenge ke India aur Pakistan mein popular freelancing websites kon si hain. Wese to kaee websites popular hain par hum aap se top 5 freelancing websites ka zikar karenge. Humari list mein Fiverr.com, Upwork.com, Guru.com, Freelancer.com aur PeoplePerHour.com shamil hai.

1: Fiverr Kya Hai

Fiverr ek behtreen freelancing website hai. Jiss mein bohat se logon ko jobs ki offier di jati hai. Fiverr ne 2010 mein poori duniya mein ek new concept se apni service start ki. Iss mein aap ko aapki mehnat, aur kam ke mayar ke mutabik paise milte hain. Iss waqat poori duniya mein lakhon log Fiverr pe kam kar rahe hain.

2: Upwork Kya Hai

Upwork ka pehle name oDesk tha. Yeh duniya mein tezi se maqbool ho rha hai. Upwork ek American freelancing platform hai. Iss ko 2015 mein duniya ke samne laya gaya.

3: Guru.com Kya Hai

Guru website ne apni service 1999 mein shuru ki. Iss ka pehle name eMunlitter.com tha. Baad mein iss ka name badal ke Guru rakha gaya. Yeh website poori duniya mein famous hai. Iss waqt lakhon ki tadad mein log kam kar rhe hain aur tezi mein izzafa horha hai.

4: Freelancer.com Kya Hai

Name se pata lagta hai ke yeh website kya kam karti hogi. Yeh duniya ki top freelancing websites mein se ek hai. Freelancing ki duniya mein yeh kaafi ziyada maqbool hai. Iss site ko 2009 mein mutarif kiya gaya.

5: PeoplePerHour Kya Hai

Yeh ek khaas online marketing place hai, jiss mein lakhon hunnar mand log apni service mohya kar rhe hain. PeoplePerHour logo ko payment ki adaigi fee ghante ke hisaab se karta hai. Iss ka Headquarters London, United Kingdom mein hai. People per hour ke Founders Xenios Thrasyvoulou, Simos Kitiris ne 2007 mein iss mutarif karwaya.

Conclusion

Hume umeed hai ke iss article mein aap ko pata chal gaya hoga ke fareelancing karne ke liya aap ko kiya kiya karna hai. Phir bhi agar aap ko koi mushkil pesh arhi hai ya koi baat samjh mein nhi aee hai to aap hume comments mein likh sakte hai. hume aap ke response ka intezaar rahe ga. Ya aap ka blogger ke related koi bhi sawal ho humare questions and answers ke page mein jaake apne sawal ka jawab dhoonde ya apna sawal submit karen. Questions and Answers ke page mein hum aap ke har sawal ka jawab dete hai.

Leave a Comment