WordPress Kya Hai? Full Introduction in Urdu

Kya Aap Jante Hain ke WordPress Kya Hota hai, Poori Tafseelat Neeche Di Gaee Hai.

Wordpress Kya Hota Hai
WordPress Kya Hai

WordPress ek site banana ka software ya platform hai. Is ko aj se chand saal pahle Matt Mulenweg aur templer Monster ne 27 may 2003 ko launch kia tha. Ye Mysql aur MariaDB ne launch ki gayi thi aur is ki setting PHP men rakhi gayi thi. Duniya men sab se zyada chalne wale CMS (content Management System) ke sath banaya gaya tha. Aur aj bhi dunia men 60% wordpress se bani huwi websites chalti hain. Operating system men ye Unix-like, windows aur Linux windows mein hi chalti hai. Programing zabaan is ki PHP pe mushtmil hai. Neeche full detail me seekhen ge ke wordpress asal me hota kya hai.

Overview (tafseelat)

  • Dashboard
  • Posts
  • Media
  • Pages
  • Comments
  • Appearance
  • Plugging
  • Users
  • Toolbar
  • Setting

Dashboard

WordPress men dashboard overview mana jata hai is men ap ke samne har cheez khulke saamne aa jati hai. Bari bat ye ke wordpress men drop and dragon system hai . jis ko ap jahan se utha ke jahan chahe rakh sakte hain.

Posts

WordPress men sab se ahmiyat aur qeemati cheez post hai is men posts aur blogs likhe jate hain. Aur poori site men publishing aur content (mawaad) ka kaam is men hi hota hai. Ap jo likh ke publish karenge wahi dunia aur saarfen ke samne nazar ayega.

Also Read: WordPress Se Paise Kaise Kamaye

Also Read: What is Blogging in Urdu A to Z Information

Media

Media wordpress men gallery hoti hai. Ap jo photo ya videos upload karenge ya jis tasweer ke size kam ke rakhenge wo sab Media men hota hai aur is men playlist ka option bhi hai.

Pages

WordPress men pages post ke mutabiq banaye jate hain. Farz Karen ke ap jo posts likhe rahe hain wo ek page pe ho ya us se zyada pages men nazar aye wo ap pe hai. Pages ka posts aur site men bhi ahm kirdaar hota hai.

Comments

WordPress men comments ka jo option hota hai us men comments ap select kar sakte hain ya reject kar sakte hain . chahe to ap pending men bhi daal sakte hain.

Appearance

WordPress men appearance ka option ahm hota hai jis men ap ko themes ya look nazar aata hai is men ap ke site ya blog ka dikhawa hota hai. Appearance men themes ya layout ke setting kuch is tarah hai ke kuch themes apko wordpress free ya muft men bhi deta hai aur kuch themes aese bhi hota hain jo paise ya Paid wale hote hain.

Plugins

Worpdress men plugging ek ozar ya instruments kaha jata hai is men ap mukhtlif plugging hote hain jo ap jahan chahe jese chaho laga sakte ho. Jab ke plugging site ke appearance ke sath dekhi ja sakti hai. Plugging site ke dikhawe ke liye hote hain. Security , antivirus ya joomla jese plugin set kar sakte hain .

Users

WordPress men apna account ya profile banaya jata hai. Is men login ye password set kia jata hai ya agar ap change karna chaho to wordpress me user pe ap apni profile ke setting kar ke apni tasweer rakh sakte hian.

Tools

WordPress men ap plugging ke sath jo bhi plugin install karenge us men sab option aur setting tool bar men aa jati hai. Toolbar ek mistri ka kaam karte hain wordpress men . import-export ka option bhi hota hai jise ap mawaad ya posten share karna chahen to toolbar men ja ke set kar sakte hain.

Setting

WordPress men setting ka option buniadi kirdar ada karta hai.
Is men ap general tab men jaa ke site ka title set kar sakte hain. Tagline set karna chahe ya registeration able ya disable karna chahe to setting men ja sakte han. Aur posts ki setting karna chaho k eek page pe kitni posten aani chahye to ap setting istemal kar sakte ho.

Conclusion

Aj hum ne seekha ke WordPress kya hai aur uss Ka istemal kese aur kyun hota hai. Hum ne ooper poori koshish ki hai ke aap ko WordPress ki full Information di jae. Agar aap ke zehen me koi bi cheez nahi samjh me aee to ap hume comments me likh sakte hain.

1 thought on “WordPress Kya Hai? Full Introduction in Urdu”

Leave a Comment