Website Banane ka Tarika [2022] with WordPress in 8 Steps

Aaj hum WordPress par website banane ka tarika seekh rahe hain. hum apko 8 steps mein batayenge ke website kaise create karte hai. Let’s start !

Website Banane ka Tarika with wordpress

Website banane ke bohut se tarike hain. Lekin WordPress sab se asaan tarika hai website banane ka. Iss waqat bohut se log WordPress ko use kar rahe hain. WordPress bohut e maqbool ban chuka hai. Iss liye hum apko WordPress mein website banana sikha rahe hain. Yeh 8 steps hain jinhe follow karen.

8 Steps WordPress par Website Banane ka Tarika

1. Decide karen ke WordPress apke liye sahi hai

WordPress ek powerful aur maqbool platform hai. Iss mein apko internet se free aur paid theme asaani se mil jate hain. Iss ke plugin apps ka kam karte hain. Jaise apps mobile mein kam karte hain. Wese e plugins WordPress ko zyada functional aur asaan bana dete hain. WordPress mein SEO bohut e asaan hai. Kyu ke SEO ke bhi bohut se plugins free aur paid mojood hain. Jin ki madad se aap asaani se apni website par SEO kar sakte hain. Iss waqat bohut si barhi websites hain jo WordPress mein bani huwe hain. To hum apko suggest karenge ke aap bhi WordPress e use karen.

2. Sahi Hosting Plan buy karen

Agar apko WordPress ke zariye website banani hai to apko webhosting purchase karni hogi. Wese to kuch hosting provider hain jo apko free mein bhi hosting plan dete hain. Par us par apki website rank nhi kar pai gi. Kyu ke uski speed aur capacity bohut e kam hoti hai. To hum apko hosting plan purchase karen ka suggestion denge. Apko bohut se hosting provider mil jayege jin se aap hosting plan purchase kar sakte ho. jaise ke Bluehost, HostGator, NameCheap etc. Yeh hosting provider apko bohut se plan offer karte hain. Jaise ke Shared hosting plan, Dedicated hosting plan, VPS hosting plan, WordPress Hosting plan etc. Agar aap new hain to hum apko shared hosting plan purchase karne ki salah denge. Kyu ke yeh apko doosre plan se sasti prhegi.

3. Domain Name Choose karen aur Register karen

Har website ko ek domain ki zaroort hoti hai. Yeh unka unique pata hota hai. Domain apko hosting provider bhi provide karte hain. Domains ke bohut se version hain. Jaise .com, .net, .org, .info .pk, etc agar apko jo bhi sahi lage aap choose kar kr purchase kar skate ho. Har version ki apni price hoti hai. Yaad rakhen domain name select karne se pehle dekhen ke domain name pehle se purchase to nhi hua tha. Aur domain ka name apke topic se related hona chahye.

4. WordPress site ko One Click se Install karen

Zyada tar hosting provider WordPress ko one click se install karne ka option dete hain. Wese to WordPress manualy bhi install ho sakti hai. Magar time bachane ke liye one click se asaan se install ho jati hai. Uss ke liye apko apne hosting provider ke cPanel mein WordPress ki option mein jakar install karna hoga. Yeh bohut e asaan hai.

5. Website ki Design ke liye ek Theme select karen

Yeh bohut e maze ka kam hai. Kyu ke yahan hum apni website ko design karte hain. Design ke liye apko WordPress ke dashboard mein appearance mein themes ki option milti hai. Add new themes ke button par click karenge to apko themes ki gallery milti hai. Jahan par bohut se themes available hoti hain. Jo one click par install aur active hote hain. Ya par upload ke option ko select kar ke download ki huwi theme ko install kar skte hain. WordPress mein apko free aur paid dono themes milte hain. Yeh apko decide karna hai ke aap kon sa theme use karenge. Hum apko paid theme ki salah denge. Kyu ke iss mein zyada functions aur speed hoti hai.

6. Apne Content aur Pages banaye

WordPress mein content lagane ke do tarike hain Pages aur Posts. Apki site ka homepage pages mein ayega. aur uss home pages mein pe aap posts show karwa sakte hain. Apka contact ka bhi page banega. Apko categories sirf posts mein milti hain. Iss liye zyada tar posts use hoti hain. SEO dono ke liye barabar hai pages ke liye bhi aur posts ke liye bhi. Posts ka zyada istemal blogs mein kya jata hai.

WordPress ke dashboard mein apko ko dono ki option mil jati hain. Agar apko page banana he to add new page par click karen. Page ka title aur content dal kar publish kar den. Post bhi aise e lagti hai dono ka istemal ek e tarike ka hai.

7. Apne Istemal ki Plugins Install karen

Plugins apki WordPress ki website ko zyada functional aur khoobsurat banate hain. Jaise hum new mobile purchase karte hain to uss mein zyada function nhi hote. Misaal ke tor par uss mein facebook whatsapp etc hume apps ke zariye milte hain. Iss trah WordPress mein bhi plugins ke zariye zyada function milte hain. Aap SEO, Social Buttons, Contact Forum etc ke plugins install kar sakte hain.

Plugins install karne ke liye WordPress ke dashboard mein plugins button par click kar ke add new plugins ke zariye aap asaani se one click mein plugin install aur active kar sakte hain.

8. Dobara Check kar ke Website ko Publish Karen

Ab apki website duniya ko dikhane ke liye tayar hai. Ab isse publish kar den. Yad rakhen jab bhi aap chahye iss mein tabdeeli kar skte hain. Aur han yeh kam yahan tak khatam nhi hua. Apko har roz ya week website mein update karte rehna hoga. Agar apko ko zyada taraqi krani hai to.

Note: WordPress zyada complicated hai. Yeh ek open source platform hai. WordPress apko takhleeqi lehaaz se mukamal aazadi deta hai. Lekin website banane se pehle technical skill ka bhi mutalba karta hai.

Final Words:

Kya aap ne website banana start kya hai? agar nhi kya to kyu nhi kya? Agar apko koi cheez samjh nhi aye to hume comments section me pooch sakte hai. Hume apke response ka intezar rahega. Thanks

Also Read: 30 Best Blogging Tips in Urdu for Beginners

Leave a Comment