Online Paisa Kamana : Top 10 Online Paise kamane ke Tarike

Aaj har shaks internet se connected hai, Aur chahta hai internet se online paisa kamana. To hum bohat e assan 10 online paise kamane ke tarike batane jarhe hain. Jin ko follow kar ke aap ghar baithe paise kama sakte hain.

Online Paisa Kamana
Online Paisa Kamana

Dosto iss time internet par bohat se tarike mojood hain jin se ap online paisa kama sakte ho. Par ek bat ka khaas khayal rakhen ke internet par kafi fake tarike bhi mojood hain, Jin ko start kar ke aap apne paise aur time dono zaya karenge. Aaj hum aap ko 10 100% sahi tarikon ke bare mein batane jarhe hain. Jin ko start kar ke aap ache khaase paise kama skte hain. Aap inn tarikon ko part time job bhi kar skte hain.

Aaj jin 10 tarikon ka zikar karenge. Un mein Freelancing, Affiliate Marketing, Sell Photos Online, Article Writing, Youtube, Blogging, Online Survey, Paid To Click, Network Marketing and Application Developer shamil hain.

1- Make Money Freelancing Online

Freelancing ek bohat e acha aur real tarika hai. Freelancing se bohat jaldi online paisa kamana asaan ho jata hai. Aur Freelancing ka ek advantage hota hai. Ke Iss mein ap ghar baithe kam kartay hain. Freelancing start karne ke lye ap ke pass koi na koi skill hona zaroori hai. Jaise Abode Photoshop, Ms office, Video Editing, Web designing etc.

Also Read: Freelancing Se Paise Kaise Kamaye Basic Information Step by Step

Internet par Freelancing ki service bohat se sites deti hain. Jiss me Upwork, Fiverr aur bhi kaafi sites mojood hain. Jin ko ap join kar ke kam start kar skatay hon. Yeh sites aap ko client mohya karti hain. Jin ke kam ko kar ke aap ba aasani ghar bhaite online paise kamana start kar skte ho.

Read Also: What is Fiverr in Urdu and Hindi Complete Course Step by Step

2- Make Money with Affiliate Marketing

Affiliate Marketing iss wakt duniya mein kaif log bohat shok se kar rahe hain. Wo iss liye ke iss mein bohat zayada paise hai. Log daily basic pe lakhon aur karoron paise kama rahe hain. Yeh kam aap ghar baithe bhi kar sakte hain.

Read Also: Affiliate Marketing Kya Hai Aur Affiliate Marketing Se Paise Kaise Kamaye

Affiliate Marketing mein aap ko doosri websites ke products ko sell karna hota hai. Jisse wo websites aap ko commission deti hai. Iss wakt duniya mein bohat se websites Affiliate program ki sahoolat de rahi hain. Jin mein Amazon bhi shamil hai.

3- Make Money with Selling Photos

Gee han aap photo sell kar ke bhi online paise kamana shuroo kar skte ho. Yeh kam aaj kal bohut se log kar rahe hain aur internet se online paise kama rahe hain. Yeh kam bohat aasan hai. Iss mein aap ko bas khud ke photos nikalne hote hain. Aur Unhe online websites per upload karna hota hai. Aur jab wo photos koi download karta hai. To wo website aapko paise deti hai. Esi websites internet par kaafi mil jaengi apko. Un mein se Shutterstock.com bhi ek hai.

4- Make Money with Article Writing

Aaj ke iss technical dor mein website bana itna mushkil nhi he. Jitna website ke liye article likhna mushkil hai. Kafi log apne website to bana lete hain lekin un ke liye article likhne mein unhe barhi pareshani hoti hai. To wo log article purchase kartay hain. Matlab agar aap unhe article likh ke doge to wo aap ko un ke paise denge. Aap dekhoge ke facebook ke groups hon ya youtube ke channels ho, ya phir freelancing ke service ho. Sab mein aap ko bohat se client milege. Jinhe article writing ki zaroorat hoti hai. Iss tarah se aap article writing se online paise kama sakte ho.

5- Make Money with Youtube

Youtube duniya ka eklota platform hain. Jiss pe iss wakt lakhon nhi balke karoron ke tadaad mein log online paise kama rahe hain. Iss mein aap ko apni unique video banana hoti hai. Jiss ko upload kar ke aap youtube se online earning kar sakte ho.

Also Read: Youtube se Paise kaise Kamaye in Urdu

Kyo ke youtube duniya ka sab se bara video platform hai. Jahan pe har roz lakhon videos upload hote hain. Iss me videos upload karne se pehle aap ko Channel bana parhta hai. Youtube se online paisa kamana bohat e asaan he. Agar aap videos banane me expert hain.

6- Make Money with Blogging

Blogging se bohat se log online earning kama rahe hen. Agar aap bhi iss field mein aana chahte hain. To yeh aap ke liye bohat se behtar saabit hoga. Blog ya website bana kar aap bhi paise kama sakte hain. Iss mein aap ko domain name purchase karna hota hai. Aur ek webhosting bhi parchase karni hoti hai. Agar aap blogger use kartay hain. To Uss me aap ko free main hosting milti hai. Iss wakt blog ya website ke liye WordPress bhi bohat e zyada maqbool horhi hai.

Blog ya website banane ke baad apko kissi publisher website par usse verify karna hota hai. Jaise iss wakt sab se zyada mashhoor Google Adsense hai. Publisher apko apki website ya blog par ads show karta hai. Aur jab user un ads par click karenge to apko earning milti hai.

7- Make Money with Online Survey

Kafi websites hain. Jo apko online survey ka kam deti hai. Aur unhe complete karne ke baad apko paise bhi deti hain. Lekin Yeh kam thora zyada time bhi leta hai. Aur bohat mushkil bhi hai. Agar aap iss kam mein interest rakhte hain. To apko bata den ke iss wakt dunya mein bohat log hain. Jo Online Survey se paise kama rahe hain.

8- Make Money with Paid To Click

Internet par bohat se websites hain. Jo apko ads par click karne ke paise deti hain. Likin iss mein kaafi websites hain. Jo apse kam karwa ke paise nhi deti. Iss liye paid to click mein kaafi kam log kam karte hain. Aur iss mein earning bhi zyada nhi hai. Agar aap yeh kam karna chahte hain. To yaad rakhen ke jiss website par kam karen, pehle uss website ke review zaroor dekhen. Ke wo website fraud to nhi.

9- Make Money with Network Marketing

Network Marketing se bohat se log bohat zyada paise kama rahe hain. Aur network marketing ke bohat se tarike hoti hain. Jise ke iss wakt mobile ka daur hai. Aur mobile mein apps bohat zyada use hote hain. aap bhi koi app bana ke use play store register karwayege. To jo bhi user yeh app install karenge to usse ke apko paise milege.

10- Make Money with Application Developer

Application Developer wo hota hai. Jo application banata hai. Aur application ko apps bhi kaha jata hai. Jo khas tor par mobile mein use hoti hai. Agar kisi ko apni aplication banwani he to wo apko uss ke paise deta hai. Yeh kam bhi iss wakat bohat se log kar rahe hain. Jin se daily basic par lakho paise kama rahe hain.

Conclusion

Oopar hum ne bohat koshish ki hai. ke apko online paise kamane ke tarike samjha saken. Ab yeh aap par depend karta hai. Ke apko kon sa trika passand hai. Agar humari post apko achi lagi ho to comment box mein zaroor batayen. Hume yaqeen hai ke oopar diye gae tarikon se aap bohat e jald online dollar kamana start karenge.

Leave a Comment